WAP Groups
Download Free Apps & Games @ PHONEKY.com

ALL-IN-ONE - Topics
Create Your Own App Store

* ALL-IN-ONE > Topics


Subject: *~!* Sher-0-Shayri *!~ Prt 4
Replies: 460 Views: 13593
1-> 7->>

zakkhan 30.03.10 - 02:39pm
18.gifPLS SHARE UR FAVOURITE POETRY HERE18.gif *

zakkhan 30.03.10 - 02:45pm
aah ko chaahiye ik umr asar hone tak
kaun jiitaa hai terii zulf ke sar hone tak
daam har mauj meN hai halqaa-e-sad-kaam-e-nahang
dekheN kyaa guzre hai qatre pe guhar hone tak
aashiquii sabr-talab aur tamannaa betaab
dil kaa kyaa rang karuuN Khuun-e-jigar hone tak
ham ne maanaa ke taGhaaful na karoge lekin
Khaak ho jaayeNge ham tum ko Khabar hone tak
partav-e-Khuur se hai shabanam ko fanaa kii taaliim
maiN bhii huuN ek inaayat kii nazar hone tak
yak-nazar besh nahiiN fursat-e-hastii Ghaafil
garmii-e-bazm hai ik raqs-e-sharar hone tak
Gham-e-hastii kaa Asad kis se ho juz marg ilaaj
shammaa har rang meN jaltii hai sahar hone tak *

zakkhan 30.03.10 - 02:47pm
praise it if u liked it...
tum chalay gayay aur tasweer tumhari reh gai
kehnay waali thin jo baateyn wo saari reh gai

tumhari yaad ne kal shab bohot sataaya mujhe
meri aankhon may dekho kaysi khumaari reh gai

ibteda-e-ishq may yun garm hue thay magar ab
shola-e-jaan sard hua, bas ik chingaari reh gai

huaa jab ilm, kay wo aaj bhee nahee aayay
husn aur ishq kee saaree tayyaaree reh gai

nazar miltay hi yun aapas may mil gayay 2 dil
kuch zara kaam na aai saari hushiyaari reh gai

ajab jazbaat say us nay jo pukaara: MANA!!
haya ankho me aur chehre pe sharm-saari reh gai *

zakkhan 30.03.10 - 02:47pm
Anjaany mein hum kisi sy wafa kar bethy hen
Apny dil ki har baat ussy bata bethy hen

Uss ki talaash mein itni door nikal gye
Kih wapsi ka rasta hai ganwa bethy hen

Woh na mila par itna zroor hoa kih
Ussy dondty dhonty khud ko ganwa bethy hen

Mil kar us sy kya khoya kya paya hum ny
Ussy yad karty karty khud ko bhula bethy hen

Shaid us py bharosa kuch zyada kar bethy
Jo aaj tak khud sy chhupaya ussy suna bethy hen

Main us ko to haasil nahi kar paya lekin
Uski khatir apnon sy dushmani kama bethy hen *

zakkhan 30.03.10 - 02:48pm
SEENY SE LIPAT JA MERE KHWABO SE NIKAL KR
IK BAAR MILAYN HAM BHI HIJABO SE NIKAL KR

KIRNON KI TARHA BAANT ZAMANY MAY UJALA
KHUSHBU KI TARHA PHYL GULABO SE NIKAL KR

MYKHAANY KI SURAT HYN TERI JHEEL C ANKHYN
DOOBAY HYN JAHA LOG SHARAABO SE NIKAL KR

MUJHKO B GAWARA NHI AB TUJH SE BICHARNA
DIL BHI HAY PARESHAN SARAABO SE NIKAL KR

REHNE DO ABI GARDISH-E-DORA'N ME HI 'QAMAR'
BEHLAY GI TABEEYAT NA AZAABO SE NIKAL KR... *

zakkhan 31.03.10 - 08:57am
Har khushi Hai Logon Ke Daman Mein,
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi...
Din Raat Daudti Duniya Mein,
Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Maa Ki Loree Ka Ehsaas To Hai,
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi.
Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke,
Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi.

Saare Naam Mobile Mein Hain,
Par Dosti Ke Lye Waqt Nahi.
Gairon Ki Kya Baat Karen,
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Aankhon Me Hai Neend Badee,
Par Sone Ka Waqt Nahi.
Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua,
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi .

Paison ki Daud Me Aise Daude,
Ki Thakne ka Bhi Waqt Nahi.
Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein,
Jab Apane Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi..

Tu Hi Bata E Zindagi,
Iss Zindagi Ka Kya Hoga,
Ki Har Pal Marne Walon Ko,
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahin *

zakkhan 2.04.10 - 07:06am
tum bhi khafa ho log bi beraham hai doston,
ab ho chala yakeen bure hum hai dosto.

kis ko humare haal se nisbat hai kya karen?
aankhen to dusmano ki bhi purnam hai dosto.

apne siva hamaare na hone ka gam kise?
apni talaash me to hum hi hum hai dosto.

kuch aaj shaam hi se hai dil bhi9 bujha bujha,
kuch shahar k chiraag bhi madham hai dosto *

zakkhan 2.04.10 - 07:08am
Mohabbat ka irada ab badal jana bhi mushkil hai
Tumhay khona bhi mushkil hai, tumhay pana bhi mushkil hai

Udasi tere chehray ki gawara bhi nahi laikin
Tere khatir sitaray tor kar lana bhi mushkil hai

Zara si baat pe ankhein bhigo kar beth jatay ho
Tumhay to apne dil ka haal batana bhi mushkil hai *

mahero 2.04.10 - 11:46am
Woh Boli, Dil Ko Koi Be-Yakeeni Hai Mohabbat Mein
Main Bola, Theek Hai Per Ishq To Imaan Hota Hai
Woh Boli, Aarzuein Dil Ke Andsar Been Karti Hain
Main Bola, Theek Hai Mujh Ko Sunayi Dete Hain
Woh Boli, Hum To Jaise Eik Musalsal Dukh Ke Qaidi Hain
Main Bola, Theek Hai Yeh Zindagi Dukh Ka Tasalsul Hai
Woh Boli, Koi Shab To Khwab Mein Bhi Khwab Aate Hain
Main Bola, Theek Hai Kuch Hasratein Aise Bhi Karti Hain
Woh Boli, Baarishon Mein Aur Zyada Jaan Sulagti Hai
Main Bola, Theek Hai Yeh Aag Paani Ke Masail Hain
Woh Boli, Raat Kyun Mushkil Se Kat'ti Hai Judai Mein
Main Bola, Waqt To Kaifyaton Ka Naam Hota Hai
Woh Boli, Chahaton Mein Dard Ke Rehne Ki Khwaish Kyun
Main Bola, Dard Ke Maare Huon Ko Chain Milta Hai
Woh Boli, Rooh Ki Aasodgi Ko Kya Zaroori Hai
Main Bola, Rooh Ko Aalodgi Achi Nahin Lagti
Woh Boli, Chand Ki Aur Chandni Ki Kya Kahani Hai
Main Bola, Aadam-o-Hawa Kki Chahat Ki Nishaani Hai
Woh Boli, Be-Saropa Khwaishein Beemar Rakhti Hain
Main Bola, Aadmi Andoa Ke Batin Se Nikla Hai
Woh Boli, Door Reh Ker Dard Barh Jata Hai Seene Mein
Main Bola, Qurbatein Bhi Hijar Ke Khudshe Barhaati Hain
Woh Boli, Shaam Hote Hi Udaasi Phail Jaati Hai
Main Bola, Raat Bhi To Aansuon Se Ishq Karti Hai
Woh Boli, Zindagi Mein Tu Nahi To Zindagi Kab Hai
Main Bola, Har Taraf Ik La-Ubali Maut Hadwi Hai
Woh Boli, Ishq Ka Apna Ilehda Rang Hota Hai
Main Bola, Rang Ka Apna Ilehda Ishq Hota HAi
Woh Boli, Dil Ko Koi Be-Wajah Sa Khauf Rehta Hai
Main Bola, Ishq To Be-Baak Logon Ka Hi Shewa Hai
Mohabbat Eik Pal Bhi Sukh Nahi Deti, Kaha Us Ne
Kaha MAin Ne, Mohabbat Ke Ilawa Kaun Sa Sukh Hai
Mohabbat Shehar Bhar Mein Goonj Jaati Hai, Kaha Us Ne
Kaha Main Ne, Mohabbat Ke Chupa Rehne Ki Khwaish Kiya
Mohabbat Chup Nahi Rehti Kisi Pal Bhi, Kaha Us Nne
Kaha Mmain Ne, Mohabbat Bin To Kayinaat Goongi Hai
Mohabbat Zehan Ka Ik Khaas Aalim Hai, Kaha Us Ne
Kaha Main Ne, Mohabbat Rooh Ki Dehleez Hoti Hai
Mohabbat Be-Sabab Tarpaye Rakhti Hai, Kaha Us Ne
Kaha Main Ne Ke Yeh Asbaab Kya Shai Hai Mohabbat Mein
Woh Kehti Hai Sitaare Aansuon Mmein Kyun Chamakte Hain
Main Kehta Hoon Mohabbat Roshni Mein Rang Bharti Hai
Woh Kehti Hai, Hawa Ke Haath Mein Kya Kya Nahi Aata
Main Kehta Hoon, Jo Dehleezon Ke Andar Dafan Hota Hai
Woh Kehti Hai, amaane Ko Dilon Se Ranj Kyunkar Hai
Main Kehta Hoon, Yeh Aazar To Sadiyon Ki Qismat Hai
Woh Kehti Hai, Tumhaare Baad Kyun Baarish Nahi Hoti
Main Kehta Hoon, Meri Jaan Hijar Sehraon Mein Rehta Hai
Woh Kehti Hai, Ke Khushiyon Mein Bhi Tum To Rone Lagte Ho
Main Kehta Hoon, Meri Aankhon Ko Sawan Acha Lagta Hai
Woh Boli, Tum Bhi Farhat Zindagi Se Rooth Jao Ge
Main Bola, Han, Shayed Mmaut Mujh Se Maan Jaye Gi
Woh Boli, Tum Khushi Ke Geet Ko Mayoos Karte Ho
Main Bola, Kya Karoon In Mukhtasar Geeton Ka Mausam Hai
Woh Boli, Tum To Farhat Khud Hi Khud Se Haar Jaate Ho
Main Bola, Kya Karoon Kamzor Hoon Aur Be-Sahara Hoon
Woh Boli, Kya Yeh Sab Kuch Itefaqan Hai Tumhara Gham
Main Bola, Yeh Bhi Mumkin Hai Yeh Sab Ehtaraman Ho
Mohabbat Mein Ghamon Ki Is Kadar Yalghar Kyun,.. Boli
Main Bola, Tum Kisi Din Yeh To Apne Aap Se Poocho
Woh Kehti Hai , Suno Farhat! Tumhara Khwab Kyun Toota
Main Kehta Hoon, Sarabi! Dil Mein Koi Kheench Parhti Thi
Tumhari Shairy Mein Zindagi Ki Siskiyan Kyun Hain
Main Bola, Aansuon Ki Ibtadayi Shakal Joh Thehri
Woh Kehti Hai Ke Farhat Shah Main Kuch Muztarib Si Hoon
Main Kehta Hoon, Sarabi! Tum To Meri Rooh Jaisi Ho
Woh Kehti Hai, Tumein Kyun Khauf Aata Hai Hawaon Se
Main Kehta Hoon, Sarabi! Deep To Aise Hi Hote Hain
Woh Kehti Hai, Chalo Farhat! Hawa Ke Saath Chalte Hain
Main Khamoshi Se Us Ke Saath Chal Deta Hoon Bujhne Ko
Woh Mujh Se Poochti Hai, Tum Kahan Gayab Ho Sadiyon Se
Main Kehta Hoon, Hazaron Wasooson Ke Darmiyaan Gum Hoon
Woh Mujh Se Poochti Hai, Raat Ki Bechainiyan Kya Hain
Main Kehta Hoon, Wohi Jo Dooriyon Ke Dil Mein Hoti Hain
Woh Mujh Se Poochti Hai, Khauf Ka Doraniya Kya Hai
Main Kehta Hoon, Jo Dil Aur Gham Ka Hota Hai Museebat Mein
Woh Mujh Se Poochti Hai, Badlon Ki Umr Kitni Hai
Main Kehta Hoon, Tamazat Ke Mutabiq Paniyon Ke Waqt Jitni Hai
Woh Mujhse Poochti Hai, Raat Itni Be-zuban Kyun Hai
Main Kehta Hoon, Zuban To Dard Ki Shiddat Se Hoti Hai
Woh Kehti Hai, Yeh Khamoshi Bhi Kuch To Sochti Hogi
Main Kehta Hoon, Wohi Jo Ghuftugo Ki Bheer Mein Kho Jaye
Woh Kehti Hai, Ke Farhat Kuch Dinon Se Bolte Kam Ho
Main Kehta Hoon, Kayi Dukh Bolne Se Rok Dete Hain
Woh Kehti Hai, Mujhe Yeh Soch Ker Batla Main Kaisi Hoon
Main Kehta Hoon, Sarabi! Sochne Mein Waqt Lagta Hai
Main Kehta Hoon, Tumhein Darya Kinare Kaise Lagte Hein
Woh Kehti Hai Tumhein Bichare Sahare Kaise Lagte Hein
Main Kehta Hoon, Mujhe Tum Hansti Gaati Achi Lagti Ho
Woh Mujh Se Poochti Hai, Dard Se Darne Lage Ho Kya
Woh Boli, Raat Se Kya Baat Karte Ho Akele Mein
Main Bola, Dard Ki, Kuch Kuch Mohabbat Ki, Judai Ki
Woh Boli, Chand Kya Aata Hai Tum Se Chonchlein Karne
Main Bola, Haan Kabhi Sapnon Ke Aangan Mein Utarta Hai
Woh Boli, Kaun Aksar Yaad Aata Hai Udaasi Mein
Main Bola, Kuch Puraane Raaste, Bachpan Aur Ik Larki
Woh Boli, Dard Ki Jaziyaat Mein Parne Se Kya Behtar
Main Bola, Dard Ko Khush Khush Sahein Aur Kooch Kar Jayein
Woh Boli, Zindagi To Dairon Ke Phailne Se Hai
Main Bola, Maut Bhi Ik Daira Hai Door Tak Phaila
Woh Boli, Rooh Ke Andar Kahin Per Aag Jalti Hai
Main Bola, Haan Dhuan Main Ne Bhi Dekha Hai Nigahon Mein
Woh Boli, Ik Dahekta Shor Sharyanon Mein Behta Hai
Main Bola, Haan Badan Per Aabley Maine Bhi Dekhein Hain
Woh Boli, Saans Per Bhi Dard Ke Korhay Baraste Hein
Main Bola, Haan Lahoo Per Neel To Maine Bhi Dekhein Hain
Woh Boli, Zaat Ki Teh Mein Na Jaane Kya Nahan Hoga
Main Bola, Per Ubhri Waredon Se Bhi Zahir Hai
Woh Boli, Daq Zada Jeevan Chupati Phir Rahi Hoon
Main Bola, Nakhunon Ki Zardiyon Ne Ker Diya Aryan
Woh Kehti Hai, Teri Jaibon Mein Itne Khwab Kyunkar Hain
Main Kehta Hoon Ke Duniya Mein Mujhe Zinda Bhi Rehna Hai
Woh Kehti Hai, Tere Kalar Pe Mitti Ka Nishaan Kaise
Main Kehta Hoon Ke Majboori Alamat Chor Jati Hai
Woh Kehti Hai, Teri Aawaz Mein Masoomiyat Si Hai
Main Kehta Hoon Ke Yeh Mazloomiyat Ke Baad Aati Hai
Woh Kehti Hai, Tere Chehre Pe Karb Be-Karan Kaisa
Main Bola, Dil Ne Chehre Per Zara Sa Rang Chora Hai
Woh Kehti Hai, Tere Haathon Pe Zakhmon Ke Ma r Kyun
Main Kehta Hoon Ke Kuch Zevar Bare Anmol Hote Hain
Woh Boli, Umar Beeti Koi Bhi Milne Nahi Aaya
Main Bola, Umar Se Pooch Ke Aakhir Umar Kyun Beeti
Woh Boli, Husn Dhalne Ke Liye Hota Hai, Lagta Hai
Main Bola, Husn Ho, Ya Bakht Ho, Ya Chand Sooraj Hon
Woh Ab To Zulfon Mein Bhi Chandi Si Sarak Aayi
Main Bola, Rooh Tak Main Bhi Dararhein Parh Gayi Hongi
Woh Boli, Haath Dekho Be-Iradah Hi Larazte Hain
Main Bola, Haath Dikhlao To Phir Dekho Bhi Himmat Se
Woh Boli, Zindagi Ka Aakhri Kardaar Hairat Hai
Main Bola, Maut Se Pehle Koi Ghar Baar Hairat Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Badalon Ko Kab Bulao Ge
Main Kehta Hoon, Tumhein Jab Dhoop Ka Mausam Sataye Ga
Woh Mujh Se Poochti Hai, Panchiyon Se Aashnayi Hai
Main Kehta Hoon Ke Ashkon Ke Qataron Se Bhi Waqif Hoon
Woh Mujh Se Poochti Hai, Shehar Ki Buniyaad Mein Kya Hai
Main Kehta Hoon, Kisi Jangal Ka Qatal Aam Hai Shayed
Woh Mujh Se Poochti Hai, Tum Samandar Mein Kabhi Utre
Main Bola, Ik Samandar Doosre Mein Kis Liye Utre
Woh Kehti Hai, Mujhe Mayoosiyan Rasta Nahi Deteen
Main Kehta Hoon NKe yeh Mayoosiyan Taqat Bhi Hoti Hain
Woh Kehti Hai, Bohat Tanha Hoon Main Is Puri Dooniyan Mein
Main Kehta Hoon Ke yeh Ehsaas To Ho Ga KHUDA Ko Bhi
Woh Kehti Hai Ke Mujh Per Shehar Ke Wehshi Lapakte Hain
Main Kehta Hoon Ke Tum Kardaar Ko Seena Sapar Ker Lo
Woh Kehti Hai, Hajoom Badrosh Se Khauf Aata Hai
Main Kehta Hoon, Mujhe Ujri Hui Galiyan Darati Hain
Woh Kehti Hai, Mujhe Be-Has Zamaane Se Shikayat Hai
Main Kehta Hoon Ke Yeh Shikwa Shikayat Rayigaan Hai Sab
Woh Boli, Tum Kahan Gayab Rehte Ho Raaton Ko
Main Bola, Main To Bas Aawara Phirta Hoon Udaasi Mein
Woh Boli, Phone Bhi Aksar Bohat Angej Rakhte Ho
Main Bola, Be Saropa Ghantiyon Se Khauf Aata Hai
Woh Boli, Tum Bohat Kanjoos Ho Khat Bhi Nahi Likhte
Main Bola, Khat Likhoon To Shairy Naraaz Hoti Hai
Woh Boli, Tum Kabhi Milne Chale Aao Jo Mumkin Ho
Main Bola, Yeh To Tum Ne Mere Dil Ki Baat Keh Di Hai
Woh Boli, Aaj Mausam Mein Ajab Si Khushgawari Hai
Main Bola, Han Yeh Mausam Pyaar Se Milne Ka Mausam Hai
Woh Kehti Hai Ke Ab Aawargi Se Kuch Nahi Haasil
Mujhe Hairat Hai Yeh Sab Kuch Woh Mujh Badal Se Kehti Hai
Woh Kehti Hai, Hawa To Banjh Pan Taqseem Karti Hai
Main Kehta Hoon, Magar Dharti Hawa KE bAS Se Bahir Hai
Woh Kehti Hai, Shabein Dhoke Mein Rakhti Hain Hamesha Hi
Main Kehta Hoon, Kahin Yeh To Nahi Dhoka Dinon Mein Ho
Woh Kehti Hai, Mujhe To Zindagi Se Eik Shikwa Hai
Hamesha Sailon Ko Maut Ke Saye Mein Rakhti Hai
Woh Kehti Hai, KHUDA Milta To Us Se Baat Karti Main
Main Kehta Hoon, Magar Main To Khamoshi Bant'ta Rehta
Woh Kehti Hai Ke Farhat Be-Zarar Rehna Nahi Acha
Main Kehta Hoon, Kayi Achaiyan Bas Mein Nahi Hoteen
Woh Kehti Hai, Meri Yaadon Se Kyunkar Door Rehte Ho
Main Kehta Hoon, Teri Parchaiyan Bas Mein Nahi Hoteen
Woh Kehti Hai, Tumhari Kuch Dua Bhi To Koi Ho Gi
Main Kehta Hoon, Jahan Tum Ho Yeh Raatein Bhi Wahin Hoteen
Ajab Ik Ma'noiyat Si Palat Aati Nazaron Mein
Tumhein Hum Dekhte Bhi Aur Baatein Bhi Wahin Hoteen
Sitaare Dekhne Aate Mujhe Teri Mohabbat Mein
Woh Kehti Hai, Sitaare Aur Sapne Jhoot Hote Hain
Woh Kehti Hai Ke Ab Roun To Aansoo Chubhne Lagte Hain
Main Kehta Hoon, Kisi Shayar Se Aankhein Maang Sakti Ho
Woh Boli, Aas Ki Faslein Kayi Beemar Hain Dil Mein
Main Bola, Jis Tarah Mumkin Ho Sawal Ko Bula Lao
Woh Boli, Main Adhoore Qaidiyon Ki Sif Mein Shamil Hoon
Main Bola, Is Ka Matlab Hai Ke Aazadi Nahi Mumkin
Woh Boli, Kuch Likhoon To Ungliyon Se Khoon Rasta Hai
Main Bola, Main To Aise Mein Bhi Apne Dil Se Likhta Hoon
Woh Boli, Dard Ne Asab Ko Murda Bana Daala
Main Bola, Ishq Ki Bechainiyon Se Zindagi Ker Lo
Woh Kehti Hai, Agar Sab Raaste Masdwa Ho JAyein
Main Kehta Hoon, To Phri Aap Tak Mehdood Ho Jayein
Woh Kehti Hai, Agar Be-Chainiyan Be-Sod Ho Jayein
Main Kehta HOON, Fana Fi Alnar Hasat o Bod Ho Jayein
Woh Kehti Hai, Agar Veraniyan Raste Mein Aa Jayein
Main Kehta Hoon, Hazaron Gham Bohat Saste Mein Aa Jayein
Woh Kehti Hai, Tumhein Takhti Pe Apne Harf Likh Doon To
Main Kehta Hoon, Teri Baatein Mere Baste Mein Aa Jayein
Woh Kehti Hai, Balayein Jab Bhi Mera Naam Leti Hain
Main Kehta Hoon, Tujhe Meri Duayein Thaam Leti Hain
Woh Mujh Se Poochti Hai, Mujh Se Baatein Kyun Nahi Karte
Main Kehta Hoon, Abhi To Dekhne Ki Manzilon Per Hoon
Woh Mmujh Se Poochti Hai, Shaam Kya Veraan Hoti Hai
Main Kehta Hoon Ke Yeh To Hijar Ki Pehchaan Hoti Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Ratjaon Ka Rang Kaisa Hai
Main Kehta Hoon Ke Jaise Jaagne Wale Ki Aankhon Ka
Woh Mujh Se Poochti Hai, Hijar Ki Qismein Bhi Hoti Hain
Main Kehta Hoon, Jitne Wasl Utne Hi Hijar Hote Hain
Woh Mujh Se Poochti Hai, Pyaar Ka Matlab Batao Ge
Main Kehta Hoon Ke Har Ik Baat Ka Matlab Nahi Hota
Woh Boli, Raaste Mein Dard Ke Kitne Samandar Hain
Main Bola, Aahkri Jo Zabt Se Bahir Nikal Aaye
Woh Boli, Ab To Mujh Mein Zabt Ka Yara Nahi Baaqi
Main Bola, Doobne Ko Phir To Tum Tayar Ho Jjao
Woh Boli, Kayinaatein Is Qadar Simti Hui Hain Kyun
Main Bola, Is Qadar Wasa't Kahan Se Aayi Hai Tum Mein
Woh Boli, Be Saropa Zindagi Se Kya Hua Hasil
Main Bola, Kuch Bhi Ho, Kuch Bhi Na Ho Aakhir Ajal To Hai
Mohabbat Mein Safar Kitna Zaroori Hai, Woh Kehti Hai
Main Kehta Hoon, Mohabbat Mein Kahin Thehra Nahi Jaata
Woh Mujh Se Poochti Hai, Aashiyane Jal GAye Honge
Main Kehta Hoon Ke Shayed Itefaqan Bach Gaye Honge
Woh Mujh Se Poochti Hai, Aaj Phir Goli CHali Ho Gi
Main Kehta Hoon Ke Han, Kuch Mayatein Ayi Hain Basti Mein
Woh Mujh Se Poochti Hai, Aaj Bhi Kuch Bomb Phatte Honge
Mmain Kehta Hoon, Koi Kehraam To Barpa Tha Sarhkon Per
Woh mujh Se Poochti Hai, Phir Adalat Mar Gayi Ho Gi
Main Kehta Hoon Ke Mujrim To Bazaat Khud Hi Munsif Hain
Woh Mujh Se Poochti Hai, Baadshah-e-Waqt Kaisa Hai
Main Kehta Hoon, Bohat Mutemayin Rehta Hai Bechara
Woh Kehti Hai, Hawayein Raat Se Aangan Mein Bethi Hain
Main Kehta Hoon, Ghutan Apna Asar Dikhla Ke C Gi
Woh Kehti Hai, Khamoshi Farsh Per Saye Banati HAi
Mein Kehta Hoon, Udaasi Weham Banti Ja Rahi Ho Gi
Woh Kehti Hai Ke Parchayein Bhi Ab Humzaad Lagti Hai
Main Kehta Hoon Ke Tanhai Ne Pagal Ker Diya Ho Ga
Woh Kehti Hai, Meri Chat Per Hayole Raqs Karte Hain
Main Kehta Hoon Ke Yeh To Wasoosoon Ne Bhes Badla Hai
Woh Kehti Hai, Koi Rota Hai Galiyon Ke Andheron Mein
Main Kehta Hoon, Judai Phir Rahi Ho Gi Museebat Mein
Woh Mujh Se Poochti Hai, Kya Hai Kuch Hairaan Lagte Ho
Main Kehta Hoon Ke Khud Ko Khwab Mein Hai Mutmayin Dekha
Woh Mujh Se Poochti Hai, Kya Hai Itne Mutmayin Kyun Ho
Main Kehta Hoon Ke Khud Ko Khwab Mein Hairaan Dekha Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Muztarab Se Lag Rahe Ho Kuch
Main Kehta Hoon Ke Dil Mein Ishq Ka Mehmaan Dekha Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Kya Pareshani Hai Farhat Jee
Main Kehta Hoon Ke Saare Shehar Ko Veraan Dekha Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Bad ooni Ka Sabab Kya Hai
Main Us Se Poochta Hoon, Zindagani Ka Adab Kya Hai
Woh Boli, Aa Tujhe Main Raakh Ki Taseer Batlaon
Main Bola, Raakh Ko Kya Raakh Ke Baare Batao Gi
Woh Boli, Aa Tujhe Main Dasht Ke Ma'ni Batati Hoon
Main Bola, Aa Tujhe Apne Dil Mein Le Ke Chalta Hoon
Woh Boli, Aa Tujhe Main Zindagi Ki Fikar Samjhaon
Main Bola, Maut Ke Maare Hue Ko Khoob Samjhao
Woh Boli, Aa Tujhe Main Hijar Ka Mara Dikhati Hoon
Main Bola, Han Mujhe Tum Le CHalo Mere Hi Kamre Mein
Woh Kehti Hai, Ghubaar-e-Waqt Mein Dhundla Gaya Jeevan
Main Kehta Hoon, Palat Ker Dekhna Takleef Deta Hai
Woh Kehti Hai Ke Tum Mujh Ko Pukara Hi Nahi Karte
Main Bola, Kya Karoon Koi Gawara Hi Nahi Karta
Woh Mujh Se Poochti Hai, Kya Mujhe Tum Yaad Karte Ho
Main Kehta Hoon Ke Jaane-Mann Tumhein Main Bhoolta Kab Hoon
Woh Kehti Hai Ke Ab To Rayigaan Lagta Hai Sara Kuch
Main Kehta Hoon, Mujhe To Rayigaani Ka Bho Dhoka Hai
Woh Kehti Hai, TAmanayein Salamat Hi Nahi Ab To
Main Kehta Hoon Ke Jeevan Mein Yeh Thehrao Bhi Aata Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Shorq, Chashm Tamasha Kya Hai
Main Kehta Hoon Ke Yeh To Shorq Alam Ka Hissa Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Baiat-e-Sultaan-e-Gham Kyunkar
Main Kehta Hoon Ke Yeh Aadab Hain Rasm-e-Mohabbat Ke
Woh Mujh Se Poochti Hai, Jabar Per Sabar Masalsal Kyun
Main Kehta Hoon Ke Jab Tak JAng Ki Soorat Nahi Milti
Woh Mujh Se Poochti Hai, Alam-e-Bala Kahan Per Hai
Main Kehta Hoon, Hamari Fikar Ki Balayi Manzil Per
Woh Mujh Se Poochti Hhai, Sab Qayam-o-Nazam Kaise Hain
Main Kehta Hoon, Koi To Hai Jise Sab Theek Rakhna Hai
Woh Kehti Hai, Main Rizq Khaak Be-Ma'ni Hoon Duniya Mein
Main Kehta Hoon KE yEH Sara Nizaam-e-Aadmiyat Hai
Woh Kehti Hai, Main Ajz-e-Fitrat-e-Konain Hoon Janan
Main Kehta Hoon, Mujhe Maloom Hai Aye Azmat-e-Khaaki
Woh Kehti Hai, Main Khwab-e-Noor-e-Batin Hoon Sahifon Mein
Main Kehta Hoon, Kise Inkaar Hai Aye Khwaish-e-Yazdan
Woh Kehti Hai, Main Husn-e-Narmi Ehsaas Hoon Farhat
Main Kehta Hoon Ke Main To Khud Gawah-e-Lams-e-Shabnam Hoon
Woh Kehti Hai Ke Main Khushboo-e-Itr-e-Surkhi-e-Subah Hoon
Hawas Khamsa Alim Mujhe Mehsoos Karte Hain
Wwoh Boli, Main Aseer-e-Hijrat Hoon Zamanon Se
Main Bola, Be-Thikana Pan To Sadiyon Ka Asasa Hai
Woh Boli, Main Gul-e-Shaakh-e-Gham-e-Tanhai Hoon Farhat
Main Bola, Main Mazar-e-Hijar Hoon Wehshat Ke Narghe Mein
Woh Boli, Main Mata-e-Ghair Hoon Tere Liye Farhat
Main Bola, Han Yeh Sadiyon Se Mohabbat Ka Vateera Hai
Woh Boli, Main Dar-e-Iwaan-e-Hairan Hoon Zamane Mein
Main Bola Main Musafir Hoon, Main Bola Main Musafir Hoon
Woh Boli, Main Talooh-e-Aaftaab Husan Ka Manzar
Main Bola, Han Agar Main Chashm-e-Benaye Tamanna Hoon
Woh Kehti Hai, Andhere Raaston Se Khauf Aata Hai
Main Kehta Hoon, Abhi To Qabar Bhi Aani Hai Raste Mein
Woh Kehti Hai, Zamane Ka Rawaiya Dil Mein Chubhta Hai
Main Kehta Hoon Ke Achi Baat Hai Tum Mukhtalif To Ho
Woh Kehti Hai Ke Jaane Kyun Khamoshi Bhi Khatakti Hai
Main Kehta Hoon Ke Mumkin Hai Tumhein Kehna Ho Kuch Us Ne
Woh Kehti Hai, Samandar Sa Koi Rehta Hai Aankhon Mein
Main Kehta Hoon, Kabhi Mere Bhi Dil Mein Jhaank Ker Dekho
Woh Kehti Hai, Mujhe Sahil Se Nafrat Hai Museebat Mein
Main Kehta Hoon Ke Yeh To Buzdali Hai Rayigaani Ki
Woh Boli, Baarishon Se Mustaqil Jhagre SE Kya Hasil
Maon Bola, Baarishon Se Hat Ta'luq Teri Khatir Hai
Woh Boli, Main Majboor Hoon Jeevan Ke Changal Mein
Main Us Ke Jhoot Per Bola, KHUDA Ka Reham Ho Tum Per
Woh Boli, Ishq Hai To Ishq Mein Milna Milana Kya
Main Bola, Ishq Ka Apna Nizaam-e-Wasl Hota Hai
Woh Boli, Dooriyan To Kuch Mohabbat Kam Nahi Karteen
Maon Bola, Han Magar Milne Ki Khwaish Ko Barhaati Hain
Woh Boli, Saath Bandh Jaane Se Behtar Hai Bichar Jayein
Main Us Ki Baat Per Dukh Se Hansa Aur Kuch Nahi Bola
Woh Kehti Hai, Safar Mein Kyun Sitaare Saath CHalte Hain
Main Bola, Jis Tarah Darya Kinaare Saath Chalte Hain
Woh Mujh Se Poochti Hai, Chand Ki Basti Kahan Per Hai
Main Us Ki Baat Per Us Ehad Mein Hairaan Hota Hoon
Woh Mujh Se Poochti Hai, Kaun Sooraj Mein Sulagta Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Aur Dil Ko Thaam Leti Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Rooh Ki Larzish Ke Baare Mein
Main Kehta Hoon Ke Yeh To Be-Qarari Raqa Karti Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Almiya Kya Cheez Hoti Hai
Main Kehta Hoon, Mohabbat Aur Nafrat Zindagi Aur Maut Hai Shayed
Woh Boli, Sawanon Mein Ab Woh Pehle Rang Kam Kam Hain
Main Bola, Ab Piya Bhi To Sukhi Ke Sang Kam Kam Hain
Woh Boli, Nain Kuch Kehte Hue Aksar Jhijhakte Hain
Main Bola, Dil Mein Bethe Chor Ko Rasta Nahi Milta
Woh Kehti Hai Ke Jhanjhar Ab Tumhein Mayil Nahi Karti
Main Kehta Hoon, Tumhein Ab Zindagi Qayil Nahi Karti
Woh Kehti Hai Ke Peele Phool Bhi Khushboo Nahi Dete
Main Kehta Hoon, Judai Theek Se Chubhti Nahi Dil Mein
Wo Kehti Hai, Mohabbat Hadson Ke Kheench Laati Hai
Main Kehta Hoon, Mohabbat Mo'jzon Ko Shakal Deti Hai
Woh Kehti Hai, Hawayein Pairh Se Manoos Hoti Hain
Main Kehta Hoon Ke Un Ke Darmiyan Rishta Purana Hai
Woh Kehti Hai, Sadayein Parbaton Se Laut Aati Hain
Main Kehta Hoon Un Ke Un Se Tukrana Nahi Aata
Woh Kehti Hai, Fizayein Husn Se Aabad Rehti Hain
Main Kehta Hoon, Agar Is Husn Ki Taqdees Baaqi Ho
Woh Kehti Hai, Wafayein Shehar Se Bezaar Kyunkar Hain
Main Kehta Hoon Ke Itne Chup Dar-o-Deewar Kyunkar Hain
Woh Kehti Hai, Ghatayein Dasht Ke Is Paar Kyunkar Hain
Main Kehta Hoon Ke Yeh To Pyaas Ki Apni Karamat Hai
Woh Boli, Aasmanon Ki Taraf Nazrein Nahi Uthteen
Main Kehta Hoon Ke Shayed Bojh Parta Hai Nigahon Per
Woh Kehti Hai, Zameend Pairon Ke Neeche Sard Kyunkar Hai
Main Kehta Hoon, Zameend Hum SE Bohat Naraz Rehti Hai
Kaha Us Ne, Meri Itraaf Mujh Ko Qaid Rakhti Hain
Kaha Main Ne Ke In Itraaf Se Bahir Nahi Kuch Bhi
Kaha Us Ne, Darakht Apni Jarhon Se Pyar Karte Hain
Kaha Main Ne, Jarhein Ik Roz In Ko Mar Deti Hain
Kaha Us Ne, KHUDA Ache Bure Ki Baat Sunta Hai
Kaha Main Ne, Use Aawaz Ki Pehchaan Aati Hai
Woh Boli, Main Chehakte Badalon Ki Gungunahat Hoon
Main Bola, Tum Mehakte Motiya Ki Muskurahat Ho
Woh Boli, Main Suhaane Mausamon Ke Geet Jaisi Hoon
Main Bola, Tum Haseen Dehatiyon Ki Pareet Jaisi Ho
Woh Boli, Main Chamakti Chandni Ke Rang Jaisi Hoon
Main Bola, Tum Mohabbat Ke Purane Jhang JAisi Ho
Woh Boli, Main Lehakti Wadiyon Ki Khushbuon Jaisi
Main Bola, Qaaf Ki Shehzadiyon Ki Khushbuon Jaisi
Woh Boli, Main Samandar Paar Ki Janat Se Aayi Hoon
Main Bola, Main Tumhaare Khaas Istaqbaal Ko Aaya
Woh Kehti Hai Ke Mujh Se Titliyan Bhi Pyar Karti Hain
Main Kehta Hoon, Unhein Tum Baagh Ke Phoolon Si Lagti Ho
Woh Kehti Hai, Mujhe Jugnoo Bhi Choone Ke Liye Aayein
Main Kehta Hoon, Tumhein Woh Chand Ki Mehmaan Samajhte Hain
Woh Kehti Hai, Meri Aawaz Ko Gunbad Taraste Hain
Main Kehta Hoon, Tumhari Bazgusht Mehrbaan Chahein
Woh Kehti Hain, Main Hans Doon To Fizayein Raqs Kar Uthein
Main Kehta Hoon, Tu Ro De To Ghatayein Raqs Kar Uthein
Woh Kehti Hai, Parinde Pyar Se Mujh Ko Bulate Hain
Main Kehta Hoon, Shajar Aksar Tere Qisse Sunate Hain
Woh Boli, Dard Aksar Raat Ko Soya NahI Karta
Main Bola, Is Tarah To Koi Bhi Rota Nahi Karta
Woh Boli, Hum To Ik Shaam-e-Ghareeban Ghar Mein Rakhte Hain
Main Bola, Karbala Waalon Se Kuch Nisbat Theharti Hai
Woh Boli, Dil Ki Veraani Ke Saye Cheekh Uthte Hain
Main Bola, Raat Ke Pichle Pehar Ik Jashan Hota Hai
Woh Boli, Dard Se Aksar Koi Aawaz Aati Hai
Main Us Se Poochta Hoon, Kaun Bichra Hai Jawani Mein
Woh Boli, Eik Deewar-e-Ana Hayil Rahi Ab Tak
Main Bola, Ab Talak Nuqsaad Bhi To Ho Chuka Kaafi
Woh Boli, Raat Ke Maathe Pe Teeka Hai Suhagan Sa
Main Bola, Han Yeh Peshani Anokhi Hai Zamane Mein
Woh B oli, Har Taraf Jangal Mein Ik Pazeb Bajti Hai
Main Bola, Har Taraf Chanchal Hawa Phirti Hai Bhagi Si
Woh Boli, Sardiyon Mein Dhoop Ki Hiddat Kabhi Dekhi
Main Bola, Tum Ne Mere Lams Ki Shiddat Kabhi Dekhi
Woh Boli, Baarishon Mein Shehar Dhal Jjata Hai Lamhon Mein
Main Bola, Han Magar Aankhein Bohat Thak Jaya Karti Hain
Woh Boli, Garmiyon Mein Pairh Ki Chaon Bulaati Hai
Main Bola, Garmiyon Mein Pairh Bhi Kaisi Panahein Hain
Woh Boli, Zaat Ko Taqseem Hi Karte Raho Ge Kya
Main Bola, Waqt Ke Apne Taqaze, Dil Ke Apne Hain
Woh Boli, Phir Palat Aaye, Chale To Phr Palat Aaye
Main Bola, Band Kooche Ka Safar Hai Zindagi Apni
Woh Boli, Har Sarak Jaati Hai Gham Ke Shehar KI Janib
Main Bola, Aur Agar Woh Shehar Apne DIl Mein Ho To Phir
Woh Boli, Gham Hamesha Saath Deta hai Museebat Mein
Main Bola, Ik Zara Thehr, Mujhe Ghor Se Dekho
Woh Boli, Kya Zaroori Tha Mujhe Tum Saath Hi Rakhte
Main Bola, Rooh Bin Main Kya Karta, Kahan Jata
Woh Boli, Aa Gaya Hai Rateela Mausam Judai Ka
Main Bola, Main Tera Sehra Noord Mustaqil Thehra
Woh Boli, Rait Urti Hai To Aankhon Mein Bhi Parti Hai
Main Bola, Dard Ki Mari Hui Aankhon Ko Us Se Kya
Woh Boli, Soch Lo Is Dhoop Mein Kaante Baraste Hain
Main Bola, Yeh To Acha Hai Badh Per Phool Mehkein Ge
Woh Boli, Raat Zakhmon Per Bohat Teesein Bhi Barsein Gi
Main Bola, Zakhm Per Zakhmon Ki Seh Jaane Ki Adat Hai
Woh Boli, Aarzuon Ke Lahoo Ka Zayiqa Kya Hai
Main Bola, Talkh Hai Meeta Hai, Karwa Hai Raseela Hai
Woh Kehti Hai Ke Main To Maang Mein Sooraj Sajaongi
Main Kehta Hoon Ke Sooraj Ki Wazahat Ho Magar Pehle
Woh Kehti Hai, Main Apne Dil Mein Ik Deewar Uthaon Gi
Main Kehta Hoon Ke Main Is Baat Ka Matlab Nahi Samjha
Woh Kehti Hai, Main Aankhon Mein Koi Sehra Basaon Gi
Main Kehta Hoon Ke Benayi Jhils Jaye Gi Aise To
Woh Kehti Hai, Main Pairhon Per Tumhara Bakht Likhoon Gi
Main Kehta Hoon Ke Pairhon Se Adawat Hai Tumhein Koi
Woh Kehti Hai, Main Paani Per Tera Chehra Banaon Gi
Main Kehta HooN, Mujhe Lagta Hai Tera Dil Bhi Paani Tha
Woh Mujh Se Poochti Hai, Tum Kise Mujrim Samajhte Ho
Main Kehta Hoon, Use Jo Dard Ke Ma'ni Na Samjha Ho
Woh Mujh Se Poochti Hai, Jhoot Aur Sachaiyan Kya Hain
Main Kehta Hoon Ke Niyyat Aur Natayij Ki Pazerayi
Woh Mujh Se Poochti Hai, Sab Se Pehle Kaun Rehta Tha
Main Kehta Hoon Ke Andaza Ya Mafrooza Hi Mumkin Hai
Who Mujh Se Poochti Hai, Kaun Reh Jaye Ga Duniya Mein
Main Kehta Hoon Ke Bilkul Ik Nayi Aur Ajnabi Duniya
Woh Mujh Se Poochti Hai, Maut Ke Baare Mein Batao Ge
Main Kehta Hoon, Khat-e-Tanseekh Hai Aaghaz Se Pehle
Woh Mujh Se Poochti Hai, Jangalon Mein Kaun Rehta Hai
Main Kehta Hoon, Wohi Jo Shehar Mein Rehne Se Khayif Hain
Woh Mujh Se Poochti Hai, Aasmanon Se Pare Kya Hai
Main Kehta Hoon, Na Veraane Na Aabadi Na Barbadi
Woh Mujh Se Poochti Hai, Waqt Ko Tum Kya Samajhte Ho
Main Kehta Hoon Ke Har Ehsaas Ke A'dad Ki Ginti
Woh Mujh Se Poochti Hai, Kya KHUDA Ko Mante HO Tum
Mian Kehta Hoon, Yaqeenan Aur Use Mehsoos Karta Hoon
Woh Mujh Se Poochti Hai, Yeh Mazahib Ke Masail Kya Hain
Main Kehta Hoon Ke Duniya Ke Bare Logon Ki Baatein Hain
Woh Mujh Se Poochti Hai, Khwab Ki Ta'beer Ke Baare
Main Us Se Poochta Hoon, Aqal Ki Jageer Ke Baare
Woh Mujh Se Poochti Hai, Zindagi Ke Raaz Ke Baare
Main Us Se PoochTA Hoon, Dharkanon Ke Saaz Ke Baare
Woh Mujh Se Poochti Hai, Raat Aur Din Ki Musafat Kya
Main Kehta Hoon, Yeh Saaye Hain Kisi Qaidi Musafir Ke
Woh Mujh Se Poochti Hai, Hum Agar Kuch Bhi Nahi Hain To
Main Kehta Hoon, Nahi Hona Bhi Hota Hai JAhanon Mein
Woh Mujh Se Poochti Hai, Aqal Kya Hai Aur Dil Kya Hai
Main Kehta Hoon Ke Ik Ikhtelaaf Amal Paheem Hai
Woh Kehti Hai Ke Deewanon Ka Koi Kya Bharosa Hai
Main Kehta Hoon, Bharose Ke Liye Duniya Hi kYA Kam Hai
Woh Kehti Hai, Kisi Ko Mat Bata Dena Mere Baare
Mmain Kehta Hoon, Magar Ik Geet Ko Aur Chandni Shab Ko
Woh Kehti Hai, Suno Farhat, Mujhe Tum Se Mohabbat Hai
Main Kehta Hoon, Meri Jaan Tum To Khud Meri Rayazat Ho
Woh Kehti Hai, Yeh Saare Log Ktyun Baatein Banate Hain
Main Kehta Hoon, Meri Jaan Yeh Mohabbat Ka Muqadar Hai
Main Kehta hOON, Mohabbat Kayinaati Geet Hoti Hai
Woh Thora Gunguna Ke Aansuon Mein Doob Jati hAI
Woh Mujh Se Poochti Hai, Har Taraf Ik Be Kali Kyun Hai
Main Kehta Hoon, Koi Anjaam Aa Pohancha Hai Basti Mein
Woh Mujh Se Poochti Hai, Be Sarosamaan Kab Se Ho
Main Us Se Poochta Hoon, Is Qadar Nadaan Kab Se Ho
Woh Mujh Se Poochti Hai, Kaun Lawaris Hai Muqatil Mein
Main Kehta Hoon, Wohi Jo Qatal Karne Ke Liye Aaye
Woh Mujh Se Poochti Hai, Shehar Ki Halat Ka Kya Ho Ga
Main Kehta Hoon, Koi Din Mein Balayein Loot Jayeingi
Woh Mujh Se Poochti Hai, Karbala Kya Phir Bapa Ho Gi
Mmain Kehta Hoon, Nahi, Ab Is Qadar Tanha Nahi Koi
Woh Boli, Darrd Ke Us Paar Bhi Eik Dard Hota Hai
Main Is Ke Baad Kitni Dair Tak Kuch Bhi Nahi Bola *

zakkhan 2.04.10 - 12:10pm
welcome.GIF
back sahebzada bhai *

zakkhan 2.04.10 - 12:11pm
kaafi badi nazam hai

kuch padh paya hon puri nahi *

kulsum 2.04.10 - 01:29pm
itna lamba................................ *

zakkhan 3.04.10 - 07:36am
kulsu mtum ne puri padhi hai kya *

zakkhan 6.04.10 - 03:18pm
Pholoon Ki Woh Mehakti Khushboo
Barish Ka Woh Bhega Pani
Aur Hawa Mein Thi Jo Rawani
Kya Uss Mousam Ka Khumaar Likhoon?


Kuch Likhna Chahata Hoon
Sochta Hoon Kya Likhoon?


Thi Chehrey Par Unkey Masomiyat
Aankhoon Mein Thi Thori Shararat
Aur Baatoon Mein Woh Nazakat
Kya Unka Rangeen Mizaaj Likhoon?

Kuch Likhna chahata Hoon
Sochta Hoon Kya Likhoon?


Unka Aaker Muskurana
Jo Rooth Jaon To Manana
Jate Jate Phir Rulana
Kya Unka Yeh Andaaz Likhoon?


Kuch Likhna Chahata Hoon
Sochta Hoon Kya Likhoon?


Yaadoon Mein Unkey Ashk Bahana
Her Shaam Ek Diya Jalana
Soi Umeed Ko Roz Jagana
Kya Unka Yeh Intezar Likhoon?


Kuch Likhna Chahata Hoon
Sochta Hoon Kya Likhon *

zakkhan 6.04.10 - 03:19pm
apni palkoon pe jamee gard ka hasil mangay
wo musafir hoon jo har morr pe manzil mangay

meri wusa'at ki talab ne mujhe mehdood kiaa
main wo darya hoon jo maujoon se bhi sahil mangay

khawahish-e-wasl ko sau rang ke mafhoom diye
baat aasaan thee magar lafz to mushkil mangay

sach ka munkir hua arzae-a-khoon ka mausam
khak-e-maqtal se gawahi mera qatil mangay

dil ki zidd per na khafa ho meray aflaak nasheen
dil to pani se bhi aks-e-meh-e-kamil mangay

saans meri thee magar us se talab ki mohsin
jaisay khairaat, sakhee se koi saail mangay *

zakkhan 6.04.10 - 03:19pm
ishq mein behta hai jo darya ba darya, kon hai
ham bhi dekhein, dard k sehara mein aisa kon hai

aik lamha hi guzar jaaye kaheen tere baghair
dil ko samjhaya tou hai, lakin samjhta kon hai

meri be-aawaaz tanhaai bataaye kiya mujhe
shaher mein hai jis ki khaatir shor barpaa, kon hai

sar pe yeh jaltay huwe suraj ko andaazaa nahi
be-talab es dasht mein ghar se nikalta kon hai

kho gayee hai waqt ki lahron mein sachaii tou kiya
waqt hi khud faisla kerta hai, sacha kon hai

aik se es shaher mein hain aashna na aashna
kiya bataain tujh ko meri jaan k kaisa kon hai

din ka suraj kiya uthaayega meri raaton ka gham
aur phir khalid kisi ka bohj uthaata kon hai *

zakkhan 8.04.10 - 01:17pm
Main mar mita to woh samjha ye inteha thi meri
Usay khabar he na thi, khak keemya thi meri
Main chup howa to woh samjha k baat khatm hovee
Phir uss k baad to awaz jabaja thi meri
Jo taana zan tha meri pooshashe dareedah par
Usi k dosh pe raki hovee quba thi meri
Main uss ko yaad karoon bhi to yaad ata nahi
Main uss ko bhool gya hoon yahi saza thi meri
Shikast de gya apna guroor he ussko
Wagerna uss k muqabil bisaat kia thi meri
Kahee dimagh kahee dil kahee badan he badan
Har ekse dosti yaari juda juda thi meri
Main uss ko dekta rahta tha hairato se Faraz
Ye zindagi se taaruff ki ibtedaa thi meri! *

zakkhan 8.04.10 - 01:17pm
Humesha muskura kay aansooun ko chupaya
Ghum ko chupanay ka yehi rasta nazar aaya
Kis kis ko batatey behtey ashkon ka sabab
Kay derd-e-dil dil main kis nay jagaya

Mehfilon main kahin bhi maza na raha
Rakha dil pay pather to khud ko sajaya

Baat bay baat apni aahain daba ker
Yaron kay dermiyan kis qadar muskuraya

Na thi chah kabhi mujahy mankashi ki
Jaam-e-wafa kisi bay wafa nay pilaya

Kya muqadar say shikwa kertey rahain
Jo qismat main tha wohi kuch to paaya

Yeh kis mor pay aagaee hain umeedain
Kay saaya-e-manzil nazar main na aaya

Apnoon nay palat kay daykha tak nahin
Ghairon nay aaker galay say lagaaya

Acha hua kay raaz khul hi gaya
Dil-e-nadaan pay khanjar kis nay chalaya

Shab-o-roz chahat sila yeh hay shaiki
Dil kay tukrey huay wo chunney na aaya *

zakkhan 10.04.10 - 09:53am
Pholoon Ki Woh Mehakti Khushboo
Barish Ka Woh Bhega Pani
Aur Hawa Mein Thi Jo Rawani
Kya Uss Mousam Ka Khumaar Likhoon?


Kuch Likhna Chahata Hoon
Sochta Hoon Kya Likhoon?


Thi Chehrey Par Unkey Masomiyat
Aankhoon Mein Thi Thori Shararat
Aur Baatoon Mein Woh Nazakat
Kya Unka Rangeen Mizaaj Likhoon?

Kuch Likhna chahata Hoon
Sochta Hoon Kya Likhoon?


Unka Aaker Muskurana
Jo Rooth Jaon To Manana
Jate Jate Phir Rulana
Kya Unka Yeh Andaaz Likhoon?


Kuch Likhna Chahata Hoon
Sochta Hoon Kya Likhoon?


Yaadoon Mein Unkey Ashk Bahana
Her Shaam Ek Diya Jalana
Soi Umeed Ko Roz Jagana
Kya Unka Yeh Intezar Likhoon?


Kuch Likhna Chahata Hoon
Sochta Hoon Kya Likhon *

zakkhan 10.04.10 - 09:55am
bholi hoi sada hoon mujay yaar kijay
tum say kahi mila hoo mujay yaad kijay

manzil nahi,khizar nahi,rahzan nahi
manzil ka rasta hoon mujay yaad kijay

nagmoo ki ibtada thi kabi mere naam say
ashkoon ki intaha hoon mujay yaad kijay

kisi kay hunay-tagafal-e-shaur ki
bholi hoi ada hoon mujay yaad kijay *

zakkhan 10.04.10 - 09:56am
ek duaa jo sab ke liyeh hai*
mera lafz lafz duaa duaa
meray ansuoon se dhula huwa
tumhain zindagi ki saher milay
tumhain aaiinoon ka safar milay
tum par gard'gham bhi na parr sakey
tum sada yunhi hansti raho
kunke tum hansti achi lagti ho!! *

mahero 10.04.10 - 12:58pm
har traf har jagah bay shumaar aadmi
phir bhi tanhaiyon ka shikaar aadmi

subah se shaam tak bojh dho tha hua
Apni hi laash ka khud mazaar aadmi

har taraf bhagte dodte raaste
har taraf aadmi ka shikaar aadmi

roz jeeta hua roz marta hua
har naye din,naya intezaar aadmi

zindagi ka mukaddar safar dar safar
aakhri saans tak beqraar aadmi *

mahero 12.04.10 - 10:51am
... Shant 'll Ve ... t , ... ! *

zakkhan 13.04.10 - 04:03pm
I READ IT
IT IS VERY NICE POETRY FOR ALL HUMINITY

*

zakkhan 13.04.10 - 04:03pm
I READ IT
IT IS VERY NICE POETRY FOR ALL HUMINITY

*

zakkhan 13.04.10 - 04:03pm
SUPURB MAHERO *

ajnabii 14.04.10 - 10:45pm
PXnaQW5KHt7RBZbqO0SJ.jpg
gulshan ki baharon main
rangeen nazaron main
jab tum mujhay dhoondho gay
ankhoon main nami hogi
mehsoos tumhain har dum
phir meri kami hogi

akaash pay jab taray
sangeet sunayen gay
beetay huway lamhon ko
ankhoon main sajayen gay
tanhayi kay sholoon say
jab aag lagi hogi
mehsoos tumhain har dum
phir meri kami hogi

sawan ki ghataaon ka
jab shor suno gay tum
bikhray huway maazi kay
awraaq chuno gay tum
mahool kay chehray par
jab dhool jami hogi
mehsoos tumhain har dum
phir meri kami hogi

jab naam mera logay
tum kaanp rahay hogay
ansoo bharay daman say
monh dhaanp rahay hogay
rangeen ghataoon ki
jab shaam ghani hogi


MEHSOOS TUMHAIN HAR DUM
PHIR MERI KAMI HOGi


*

zakkhan 15.04.10 - 09:02am
clapping.GIF *

zakkhan 15.04.10 - 09:03am
aankh se duur na ho dil se utar jaayega
waqt ka kya hai guzarata hai guzar jaayega

itna maanuus na ho Khilvat-e-Gam se apani
tu kabhi Khud ko bhi deikheygaa to Dar jaayega

tum sar-e-raah-e-wafaa dekhate rah jaaoge
aur vo baam-e-rafaaqat se utar jaayega


zindagi terii ataa hai to ye jaanevaalay
teri baKhshiish teri dahaliz pe dhar jaayega


Doobate Doobate kashti to ochhaalaa dey doon
main nahin koi to saahil pe utar jaayega

zabt laazim hai magar dukh hai qayaamat ka 'Faraz'
zaalim ab ke bhi na royega to mar jaayega *

zakkhan 15.04.10 - 09:03am
Lakh dori ho mager ahed nibhatay rehna,
jab bhe ho Barish mera soug manatay rehna,
tum gaye ho tou ser e sham ye adut thehri,
bas kinaray pe kharay hath milatay rehna,
jane is dil ko ye adaab kaha se aye,
unko raho mei ankhon ko bichatay rehna,
aek mudat se ye mamool hogaya hai ab tou,
roothna khud he aur khud ko manatay rehna,
tum ko maloom hay ferhat k ye pagal-pun hay,
dour jatay howay logon ko bulatay rehna. *

zakkhan 15.04.10 - 09:07am
Dekho gay hamain roz mager baat nahi hogi,
ek sheher mei reh ker bhe molaqat nahi hogi,

kehna hai jo keh dalo abhi waqt hay kal ko,
ham hongay mager soraat e haalaat na hogi,

jo pochna ho tum ko abhi pochou,
wagerna,
kal sheher mein phir rasam e sawalaat na hogi,

din hongay taweel itnay kabhi hijir k logo,
tarpo gay sar e shaam mager raat na hogi,

hum jeet gaye tou bhi koi jeet na hogi,
woh har gaye bhi tou osay maat na hogi. *

zakkhan 15.04.10 - 09:08am
Mohabbat Ka Apni Silaa Chaahiey
Mujhay Tum Say Bas Kuch Wafa Chaahiey
Zara Si Khushi Ka Pata Chaahiey
Humain Aur Duniya Say Kia Chaahiey

Meri Zindagi Ko Yeh Kia Chaahiey
Na Ho Khatam Jo,Woh Maza Chaahiey
Zamanay Nay Dein Hain Buhat Thokarain
Sambhalnay Ko Ab Aasraa Chaahiey

Judda Paas Reh K Hai Hona Kathin
Judda Honay Ko, Faasla Chaahiey
Yeh Manzar Nahin Ab Mujhey Dekhna
Nazaaraa Mujhay Ab Judda Chaahiey

Kabhi Aa K Kar Do Muqammal Issay
Ghazal Ko Meri Qaafiya Chaahiey
Nahin Chaahiey Aur Kuch Bhi Mujhay
Buhat Jee Lieya Ab Qazaa Chaahiey


Usay Bhoolnay K Liey Aye Khuda
Mujh Ko, Kuch Hoslaa Chaahiey....! *

mahero 17.04.10 - 08:12am
Ajab pagal si larki hai
Mujhe har khat me likhti hai
Mujhe tum yaad karte ho?
Tumhe me yaad ati hoon?
Meri baaten satati hain?
Meri neenden jagati hain?
Meri aankhen rulati hain?
Falak k sab sitaroon ko meri baaten sunate ho?
Kitabbon se tumhare ishq me koi kami ayi?
Ya meri yaad ki shiddat se ankhon mai nami ayi?

Ajab pagal si larki hai
Mujhe har khat me likhti hai

Jawab youn uss par likhta hoon

Meri masrofiyat dekho
Subha se shaam Office mai chiragh-e-umr jalta hai
Phir uss k baad duniya ki kai majbooriyan paoun me beriyan daal deti hain
Mujhe chahat se bhare sapne nahi dikh'te
Tehalne jaagne ronay ki mohlat hi nahi milti
Sitaroon se mily arsa hua
kitaboon se af mera abhi wesa hi qaaim hai
Farq itna para hai ab unhain a*se me parhta hoon
Tumhe kis ne kaha pagli tumhe me yaad karta hoon
K me khud ko bholne ki musal'sal justaju me hoon
Tumhein na yaad aane ki musal'sal justaju me hoon
Magar ye justaju meri bahut nakaam rehti hai
Mere din raat me ab bhi tumhari shaam behti hai
Mere lafzoon ki har maala tumhare naam rehti hai
Tumhe kis ne kaha pagli tumhe me yaad karta hoon
Unhain ham yaad karte hain jinhe ham bhool jate hain

Ajab pagal si larki ho

Tumhein dil se bhulaon to tumhari yaad aye na
Tumhe dil se bhulane ki mujhe fursat nahi milti
Aur iss masroof jevan main tumhare khat ka ek jumla
Tumhe main yaad aati hoon?
Meri shiddat main
kami hone nahi deta
So agli baar khat main ye jumla nahi likhna

Ajab pagal si larki hai
Mujhe phir bhi ye likhti hai

Mujhe tum yaad karte ho?
Tumhe me yaad aati hoon....? *

mahero 17.04.10 - 08:24am
Vo Aik Larki

Buhat khamosh rehti thee
Kisi say kuch na kehti thee
Woh jab bhee muskurati thee
Baharain aa see jati theen
Us ki ik pal ki udasi say
Khizain aanay lagteen thee
Yoon mehsoos hota tha
Keh jaisay her ik mosam us ki dastras main ho
Magar ik din mere bas itna kehnay pay
Hum ab mil na payin gay
Woh itna toot kar royeee
Keh samandar soochta ho ga
Us ki ankhoon main ya mujh main
Pani kis main ziyada hay?????? *

mahero 17.04.10 - 08:27am
suno laRki!
kisi ko tum ne chaha tha
tume wo mil nhi paaya
kisi ko maiN ne chaha tha
muje wo mil nhi paaii
adhori tum bhi ho ab tak
adhora maiN bhi hoN ab tak
ad ,pan ki tanhaaii
tume bhi dasti rehti hy
ad ,pan ki tanhaaii
muje bhi dasti rehti hy
ad ,pan se tum bhi ab
nikalna cha,hati ho naa
ad ,pan se maiN bhi ab
nikalna cha,hata hoN bas
tumare aur mere sab
masaail aik jese haiN
sabhi gham aik jese haiN
sabhi dukh aik jese haiN
suno laRki!
chalo ik kaam karte haiN
muje tum wesa hi cha,ho
kay jesa us ko cha,ha tha
tume maiN wesa hi cha,hoN
kay jesa us ko cha,ha tha
chalo aao kay miljul kar
neya ik ghar basaate haiN
mohabbat kay deye ko pher
mohabbat se jalaate haiN *

zakkhan 17.04.10 - 02:13pm
woh ik pagal si ladki,
And ek ladki
Both are amazing
clapping.GIF
Mahero bhai.
Hows life going *

mahero 24.04.10 - 08:00am
ALHAMDULILLAH GREAT !! thanks zak bro *

mahero 24.04.10 - 08:04am
neyazbine meda satarge nanta tapa khanda de...da ghukhde ra nata de ..aow wakhla yaar ista de... *

zakkhan 24.04.10 - 11:18am
yeh to samajh me nah iaayi *

zakkhan 24.04.10 - 11:19am
dil per aisay bhi azabon ko utarte dekha
humney chupchap ussay khud say bicharte dekha

tujhko socha to har soch mein khushbu utri
tujhko likha to har lafz mehakte dekha

yad ajaye to qabo nahi rehta dil per
warna dunia nay bhi humko tarapte dekha

teri surat ko faqat ankh hi na tarsi hy
rasto ko bhi teri yad mein rote dekha

hum muhabbat k liye aj bhi dewane hain
ye alag bat hay k usnay nahi mur k dekha *

zakkhan 24.04.10 - 11:20am
seeny se lipat ja mere khwabo se nikal kr
ik baar milayn ham bhi hijaabo se nikal kr

kirnon ki tarha baant zamaany me ujaala
khushbu ki tarha phayl gulabo se nikal kr

Mykhaany ki surat hyn teri jheel c ankhyn
Doobay hyn jaha log sharaabo se nikal kr

Mujhko b gawara nahi ab tujh se bicharna
Dil bhi hay pareshaan saraabo se nikal kr

Rehne do abi gardish-e-doran me hi QAMAR
Bayhlay gee tabeeyat na azaabo se nikal kr *

zakkhan 24.04.10 - 11:20am
Anjaany mein hum kisi sy wafa kar bethy hen
Apny dil ki har baat ussy bata bethy hen

Uss ki talaash mein itni door nikal gye
Kih wapsi ka rasta hai ganwa bethy hen

Woh na mila par itna zroor hoa kih
Ussy dondty dhonty khud ko ganwa bethy hen

Mil kar us sy kya khoya kya paya hum ny
Ussy yad karty karty khud ko bhula bethy hen

Shaid us py bharosa kuch zyada kar bethy
Jo aaj tak khud sy chhupaya ussy suna bethy hen

Main us ko to haasil nahi kar paya lekin
Uski khatir apnon sy dushmani kama bethy hen *

mahero 24.04.10 - 01:14pm
pushto language hai zak bhai...
*

changejk 24.04.10 - 04:02pm
Very nice dear dil ko hila dala re *

1khan1 24.04.10 - 05:45pm
wo pagal see larki ko ishq kis ney sikaya..? ....main ney lol *

1khan1 24.04.10 - 05:46pm
mahero superb marmaloos ..super hit *

zakkhan 24.04.10 - 10:09pm
changejk
welcome.GIF
In group all in one.
*

zakkhan 24.04.10 - 10:10pm
dil kya cheez hai yaron
Humne to jigar ke tukde udte dekhe hai.

Thanks 4 praise changej bhai *

zakkhan 24.04.10 - 10:11pm
zafar bhai.
Tabhi to main kahon ki woh ladki pagal kyun ho gayi *

zakkhan 27.04.10 - 02:11pm
Hazaaron dukh pare sehna, mohabbat mar nahi sakti
hai tum se bus yehi kehna, mohabbat mar nahi sakti

tera mere har khat ko parhna aur ro dena
mera har baar likh daina, mohabbat mar nahi sakti

kiya tha hum ne campus ki nadi pe ek haseen waada
bhale humko pare marna, mohabbat mar nahi sakti

jahan main jab tak panchi chehakte urte phirte hain
hai jab tak phool ka khilna, mohabbat mar nahi sakti

purane ahad ko jab zinda karne ka khayal aaye
mujhe bas itna likh dena, mohabbat mar nahi sakti

woh tera hijr ki shab phone rakhne se zara pehle
buhat roote huye kehna, mohabbat mar nahi sakti

agar hum hasratoon ki qabar mein hi dafan ho jain
tu yeh qutboon pai likh dena, mohabbat mar nahi sakti

puraane raabton ko phir naye wade ki khwaish hai
zara ik baar tu kehna, mohabbat mar nahi sakti

gae lamhaat fursat ke kahan se dhoond kar laoon
wo pehron haath pai likhna, mohabbat mar nahi sakti... *

zakkhan 27.04.10 - 02:11pm
kal hamaisha ki terhaa usnay kaha ye phone per,
main bohat masroof hoon mujhe bohat say kaam hain..

is leye tum aoo milnay main to aa sakti nahi,
her riwayat toor ker is baar main nay keh dia..

tum jo ho masroof to main bhi bohat msroof hoon,
tum ager ghamgeem ho to main bhi bohat ranjoor hoon..

tum thakan say choor to main bhi thakan say choor hoon,
jan-e-man hai waqt mera bhi bohat he qeemti..

kuch pouranay doustoon nay milnay aana hai abhi,
main bhi ab farigh nahi mujhko bhi lakhoon kaam hain..

werna kahnay ko to sab lamhay tumharay naam hain,
meri ankhain bhi bohat bojhal hain sona hai mujhay..

ratjago k baad abb neendoon main khoona hai mujhay,
main lahooo apni anaoon ka baha sakta nahi..

tum nahi aa saktin to milnay main bhi aa sakta nahi,
uss ko ye kah ker wasi main nay reciever rakh dia,
orrr phir apni anaa k paoon pay sir rakh dia... *

1-> 7->>


* Reply
* ALL-IN-ONE Forum


Search:
topics replies


* ALL-IN-ONE

Create Your Own App Store

topTop
groupsGroups
mainProdigits

Custom Search


Create Your Own App Store