WAP Groups
Download Free Apps & Games @ PHONEKY.com

ALL-IN-ONE - Topics
Create Your Own App Store

* ALL-IN-ONE > Topics


Subject: *~!* Sher-0-Shayri *!~ Prt 4
Replies: 460 Views: 13595
6-<< 2-< 1-> 7->>

zakkhan 27.04.10 - 02:12pm
Garmey-e-Hasrat-e-nakam se jal jate hay,
Hum charagon ki tara sham se jal jate hay,

Shama jis aag may jalte hay numaish ke liye,
Hum usi aag may gumnam se jal jate hay,

Jab bi aata hay Tera nam Mere nam ke sath,
Jane kyon log Mere nam se jal jate hay.. *

zakkhan 6.05.10 - 04:04pm
reading2.GIF
*

zakkhan 7.05.10 - 07:05am
Musafir To Bichartey Hein,Rafaqat Kab Badalti Hai
Mohabbat Zinda Rehti Hai,Mohabbat Kab Badalti Hai
Usi Ko Chahtey Hein,Usi Se Piyaar Kartey Hein
Yehi Barsoun Se Aadat Hai Aur Aadat Kab Badalti Hai
Tumhein Jo Yaad Rakha Hai Yehi Apni Ebadat Hai
Jo Pathar Pay Likhi Jaye,Ebarat Kab Badalti Hai
Kali Ka Phool Banna Aur Bikhar Jana Muqadar Hai
Yehi Kanoon-E-Fitrat Hai Aur Fitrat Kab Badalti Hai
Jo Dil Pay Naqash Kar Jaye Aur Aankon Mein Simat Aaye
Aalamat Hai Yeh Chahat Ki Aur Chahat Kab Badalti Hai
Ussey Chaha,Ussey Pooja,Yehi Taqdeer Hai Apni
Hamein Gumrah Mat Samjho,Ebadat Kab Badalti Hai *

mahero 7.05.10 - 06:43pm
ae jazba e dil gar main cha'hoon har cheez muqabil aa jaye
manzil ke liye do gaam chaloon aur samne manzil aa jaye

ae dil ki khalish chal yun hi sahi chalta to hun un ki mehfil main
us waqt mujhe chonka deena jab rang pe mehfil aa jaye

ae rehbar e kamil chal deekho tayar to hoon par yaad rahe
us waqt mujhe bhatka deena jab saamne manzil aa jaye

haan yaad mujhe tum kar lena aawaz mujhe tum de dena
is rah e mohabbat main koi darpesh jo mushkil aa jaye

ab kyun dhondhon woh chashm e karam hone se sitam baal'aye sitam
main chahta hoon jazba e gham mushkil pe mushkil aa jaye... *

z_haidar 12.05.10 - 09:42am
Bethy Bethy kisi ki Yaadon main Kho Jana Ab Zrori To Nahi,
~*~
~*~
Wo Bewafa hai Ye Batana Ab Zrori To Nahi,
~*~
~*~
Apne Chaman ki Taazgi Phoolon k Dum se Hai,
~*~
~*~
Har Phool se Khushbo Aana Ab Zrori to Nahi,
~*~
~*~
Mera Dil Toota hai Yaaro Ek S y ki Tarah,
~*~
~*~
Aawaz Aana k Na Aana Ab Zarori To Nahi,
~*~
~*~
Alwida Hote Waqt Wo Rasm-e-Jumle Ki Jaga,
~*~
~*~
Ye Keh Giya Vaada Nibhana Ab Zarori to Nahi,
~*~
~*~
Aey ''WASI'' Chhor Wo Tere Muqadar Main Nahi,
~*~
~*~
Haath Jogi Ko Dikhana Ab Zarori To Nahi..!!!

~*~
~*~
(ZESHAN~HAIDAR) *

s.irfan 13.05.10 - 06:42pm
MERE WAJOOD ME KASH ! AAP UTER JATE,

AAINA DEKHUN MAI, AUR AAP NAZER AATE.

AAP HO SAMNE AUR WAQT GUZER JAYE,

YE AREZOO HAI PAL DO PAL SATH GUZAR JATE,

5634692.jpg
hehe.GIF *

zakkhan 23.05.10 - 12:12pm
welcome.GIF

haider bhai

in group all in one *

zakkhan 23.05.10 - 12:12pm
good2.GIF

haider bhai *

mahero 12.06.10 - 03:39pm
daikh lo khuaab magar khuaab ka charcha na karo
log jal jayan ge sooraj ki tamanna na karo

waqt ka kaya hai kisi pal bhi badal sakta hai
ho sake tum se to tum mujh pe bharosa na karo

kirchiyan tootay hoye aks ki chubh jayan gi
aur kuch roz abhi aaina dekha na karo

ajnabi lagne lage khud tumhain apna wajood
apne din raat ko itna bhi akela na karo

khuaab bachhon ke khelonon ki tarah hote hain
khuaab dekha na karo khuaab dikhaya na karo

be khiyali main kabhi ungliyan jal jayain gi
rookh guzre hoye lamhon ko kureedah na karo *

s.irfan 13.06.10 - 01:58pm
Saath Humara pal bhar ka sahi,
par woh pal aise jaise koi kal nahi
rahe zindagi mein shayad phir milna humaara
par mehekti rahengi tumhari yaadein humare sang sahi *

s.irfan 13.06.10 - 01:58pm
Mombatti ke andar dhaga bola,main jalta hoo tu kyo pighalti hai,Mombatti boli,jisko dil me jagah de, uske bichhadne per aasoo to niklenge he *

zakkhan 15.06.10 - 01:37pm
GOOD2.GIF
MAHERO AND IRFAN *

zakkhan 12.07.10 - 08:22am
tamaam umr...... pareshaan rahe....... udaas rahe;
khushi ye hai ...ki ....hum apne hi....... aas paas rahe.

ataa karegaa .....muraadon ke phool..... daaman ko ;
magar..... ye shart hai .......hothon pe iltemaas rahe.

hujoom-e-shahar! ....qabaa gar nahin...... kafan hi sahi;
lahoo lahoo saa...... ye manzar........... na be-libaas rahe.

main .......khud ko dhoondh ke laaungaa....... ek din..... khud hi;
khudaa kare!..... mere milne ki.... mujhko..... aas rahe.

nafas nafas ki shanaasaayee....... zindgi...... se thi;
magar ...ye sach hai.... ki ...hum fir bhi... naa-shanaas rahe...........

*

zakkhan 12.07.10 - 08:22am
Nafrat ki dhoop mai barsaat say pehlay,
Halaat na thay esay teri mulaqaat say pehlay

Har kissi ko hamdard samajh letay thay hum bhe,
Kitnay saada thay muhabat kay tajrubat say pehlay,

Yeh baarsih, yeh hawa, yeh dhanak, yeh mausam,
Kiss kiss say muhabat the teri zaat sa pehlay,

Bikhray to bus esay toot kay bikhray,
Log detay thay misaal hamari hadsaat say pehlay,

Tu yeh na samajh tujh say ulfat gaye dinon ki baat hai,
Hum aaj bhe sochtay hain tujhay apni zaat say pehlay..!! *

zakkhan 12.07.10 - 08:23am
Sab se chupa ker dard jo wo muskara dia,

Uski hansi ne tu aaj mujh ko rula dia.



Lehjay se uth rahi thi har ik dard ki dastan

Chehra bata raha tha sub kuch ganwa dia,



Awaz mein thehrao tha ankhon mein nami thi

Aur keh raha tha k mein ne sab kuch bhula diya,



Janay kia usko mujh se thein shikayatein

Tanhaiyon k dais mein khud ko basa dia,



Khud bhi woh hum say bichar k adhora sa ho gaya

Muj ko bhi itnay logoon mein tanha bana dia..... *

zakkhan 12.07.10 - 10:59am
dhuup me.n nikalo ghaTaao.n me.n nahaa kar dekho
zindagii kyaa hai kitaabo.n ko haTaa kar dekho

vo sitaaraa hai chamakane do yuu.N hii aa.Nkho.n me.n
kyaa zaruurii hai use banaakar dekho

pattharo.n me.n bhii zubaa.N hotii hai dil hote hai.n
apane ghar kii dar-o-diivaar sajaa kar dekho

faasalaa nazaro.n kaa dhokaa bhii to ho sakataa hai
vo mile yaa na mile haath ba.Daa kar dekho
*

zakkhan 12.07.10 - 10:59am
Bey qaraari si bey qaraari hai
Wasl hai, aur firaaq taari hai !!

Shauq ki ik umeed waari hai
Warna kis ko Khabar hamaari hai??

Nigharey kia huwey k logoN par
Apna saaya bhi ab to bhaari hai

Bin tumhaarey kabhi nahiN aai
Kia meri neend bhi tumhaari hai??

Aap meiN kaisey aaoN maiN tujh bin?
Saans jo chal rahi hai, aari hai

Uss sey kahiyo k dil ki galiyoN meiN
Raat din teiri intezaari hai

Hijr ho, ya wisaal ho.....kuch ho
Hum haiN aur us ki yaad gaari hai !!

Ik mahak samt-e-jaaN sey aayi thee
MaiN yeh samjha teri sawaari hai

HaadisoN ka hisaab hai apna
Warna har aan sab ki baari hai

Khush rahey tu k zindagi apni
Umr bhar ki umeed waari hai

Dil O duniya meiN wasl kyuN kar ho??
Ik hazaari hai, ik bazaari hai

NahiN matlab kahann sunann tujh sey
Zindagi hai, to bey qaraari hai

Bar'heman ! meira wo but-e-naazuk
Saarey HindoostaaN pey bhaari hai

Jo guzaari na jaa saki hum sey
Hum ney wo zindagi guzaari hai !! *

zakkhan 12.07.10 - 11:00am
Aik aansu meri palkon pe numanyan hi sahi
Laog kehtay hain charaghaan to charaghaan hi sahi

Mujh pe jo beet gai beet gai beet gai
Meri hasrat teray chehray se numayan hi sahi

Mar.ghaton per nai bunyaad-e-makan rakhain gai
Kar-e-tehzeeb Raqeeb-e-ser-o-samaan hi sahi

Kitni Aankhain huien be nar tujhay kiya maloom
Kar-e-nazarah teri bazm mein asaan hi sahi *

zakkhan 12.07.10 - 11:00am
aaNkhoN kaa rang, baat kaa lahjaa badal gayaa
vo shaKhs ek shaam meN kitnaa badal gayaa !
kuch din to meraa aks rahaa aaiine pe naqsh
phir yuN huaa ke Khud meraa chehraa badal gayaa
jab apne apne haal pe ham tum na rah sake
to kyaa huaa jo hamse zamaanaa badal gayaa
qadmoN tale jo ret bichii thii vo chal paRii
us ne chuRaayaa haath to sehraa badal gayaa
koii bhii chiiz apnii jagah par nahiiN rahii
jaate hi ek shaKhs ke, kyaa kyaa badal gayaa !
ek sar-khushii kii mauj ne kaisaa kiyaa kamaal
vo be-niyaaz, saare kaa saaraa badal gayaa
uThTh kar chalaa gayaa koii vaqfe ke darmiyaaN
pardaa uThThaa to saaraa tamaashaa badal gayaa
hairat se saare lafz use dekhte rahe
baatoN meN apnii baat ko kaisaa badal gayaa
kahne ko ek sehn meN diivaar hii banii
ghar kii fizaa, makaaN kaa naqshaa badal gayaa
shaayed vafaa ke khel se uktaa gayaa thaa vo
manzil ke paas aa ke jo rastaa badal gayaa
qaayem kisii bhii haal pe duniyaa nahiiN rahii
taabiir kho gayii, kabhii sapnaa badal gayaa
manzar kaa rang asl meN saayaa thaa rang kaa
jis ne use jidhar se bhii dekhaa badal gayaa
andar ke mausamoN kii Khabar us kii ho gayii
us nau-bahaar-e-naaz kaa chehraa badal gayaa
aaNkhoN meN jitne ashq the jugnuu se ban gaye
vo muskuraayaa aur merii duniyaa badal gayaa
apnii galii meN apnaa hii ghar dhhuNdhtee haiN log
Amjad ye kaun shahr kaa naqshaa badal gayaa *

zakkhan 13.07.10 - 08:43am
Kiya baat kaho on ankhoo ki
Jin ankhoo pe main marta hoo
Woh ankhien jheel si ankhien hain
Jin main doob ke rooz ubharta hoon
Mujhey dekhney ke liyeh uthti hain
Miltey hi nazar woh jhukti hai
Saarey jaha main aisi ankhien nahi
Jin akhoon pe main marta hoo
In ankhoo main koi ansoo na aaye koi
Kabhi koi ghum na pass aaye koi
Sada muskuratien rahey yeh
Har dum yeh dua main karta ho hoon
Kiya baat kaho un ankhoo ki
Jin ankhoo pe main marta hoo *

zakkhan 13.07.10 - 08:44am
Rangat terii zulfo.n kii ghataao.n ne churaaii
khushbuu tere aa.nchal se havaao.n ne u.daaii

paimaane kaa dil tuut na jaaye to kahuu.n mai.n
hai chiiz gazab kii jo nigaaho.n ne pilaaii

qaidii terii zulfo.n kaa hai aazaad jahaa.n se
mujh ko ye rihaaii to sazaao.n ne dilaaii

maanaa kii bahaaro.n ne khilaayaa hai gulo.n ko
ulfat kii kalii dil me.n vafaao.n ne khilaaii

tham-tham ke barasanaa kabhii jham-jham ke barasanaa
saavan ko adaa ye mere ashko.n ne sikhaaii

ma.nzil pe pahu.nch kar 'nasiim' ehasaas huaa hai
jis raah se pahu.nchaa ye khataao.n ne dikhaaii *

zakkhan 13.07.10 - 08:45am
Main Aiyna Hoon,Wo Mera Khayal Rakhti Hay
Main Toot-ta Hoon Tu Chun Kar Sambhal Rakhti Hay,

Har Aik Maslay Ka Hal Nikal Rakhti Hai
Zaheen Hai,Mujhay Hairat Main Daal Rakhti Hay,

Main Jab Bhi Tark-e-taluq Ki Baat Karta Hoon
Woh Rokti Hay Mujhay, Kal Pay Taal Rakhti Hay,

Woh Mairay Dard Ko Chunnti Hay Apnay Pooron Say
Woh Mairay Wastay Khud Ko Nidhaal Rakhti Hay,

Woh Dobnay Nahi Daiti Hay Dukh Kay Darya Main
Mairay Wajood Ki Naow Uchaal, Rakhti Hay,

Duain Uss Ki , Balaoon Ko Rook Laiti Hain?
Woh Mairay Chaar Soo Hathon Ki Dhaal Rakhti Hay,

Ik Aisi Dhunn ,Kay Nahin Phir Kabhi Main Nay Suni
Woh Munfarid Saa Hansi Main Kamal Rakhti Hay..... ,

Usay Nadamatain Mairi Kahan Gawara Hain,,
Woh Mairay Wastay Asaan Sawal Rakhti Hay,

Bichar Kay Uss Say Main Duniya Ki Thokaron Main Hon
Woh Pass Ho Tau Mujhay Lazawaal Rakhti Hay......... ,

Woh Muntazir Mera Rehti Hay Dhoop Main
Main Laut-ta Hoon To Chahoon Nikal Rakhti Hay...! *

zakkhan 13.07.10 - 11:13am
Fizaoo main rang bharta hai tumhara chand sa chehra
Mujhe bechain karta hai tumhara chand sa chehra

Usi ehsaas ka nasha liye phirta hoon duniya main akela
Meri khatir sanwerta hai tumhara chand sa chehra

Mujhe ye chandni raatein buhut bekaaif lagti hain
Jab meri aankhoun main ubharta hai tumhara chand sa chehra

Koi chehra meri aankhoun ko khera nahin ker sakta
Mujhe madhosh karta hai tumhara chand sa chehra

Meri basti se shayad iss liyay tum door rehte ho
Gehan lagne se darta hai tumhara chand sa chehra

Tawaja kis qadar dene laga hun aaj kal khud per
Mere charoun taraf jab siyah raat aati hai

To phir mujh mein uterta hai tumhara chand sa chehra

Mere se yun hi TUM apni dosti rakhna
Andhere main nikharta hai tumhara chand sa chehra *

zakkhan 14.07.10 - 10:51am
bheed mein ek ajanabi ka saamana achchha laga
sabase chhupakar wo kisi ka dekhana achchha laga

suramaai aankhon ke neeche phool se khilane lage
kahate kahate kuch kisi ka sochana achchha laga

dil mein kitane ahad baandhe the bhulaane ke liye
wo mila to sab iraade todana achchha laga

dushman-e-jaan hai par 'amajad' main bura kaise kahu
jab bhi aaya saamane wo bewafa achchha laga *

zakkhan 14.07.10 - 10:53am
Ek chand tanha khila raha meray aasman say zara paray
meray sath sath safar mein tha meri manziloon say zara paray

teri justuju k hisaar say teray khuwab teray khayal say
main woh shakhs tha jo khara raha teri chahaton say zara paray

kabhi dil ki baat kahi na thi jo kahi tou woh bhi dabi dabi
meray lafz pooray tou thay magar thay samaa'aton say zara paray

tu chala gaya meray hamsafar zara dekh mur k tou ik nazar
meri kashtiyaan hain jali hueen teray saahilon say zara paray. *

zakkhan 15.07.10 - 01:21pm
Aankhon Ny Kaisy Khwab Trashy Hain In Dino,
Dil Pe Ajeeb Rung Utertay Hain In Dino,

Rakh Apny Pas Apny Mah-o-Mehr Aey Falak,
Hum Khud Kisi Ki Aankh K Taary Hain In Dino,

Dast-e-Saher Ny Maang Nikali Hai Baar-ha,
Aur Shab Ny Aa K Baal Sanwary Hain In Dino,

Iss Ishq Ny Humein Hi Nahi Moa-tadil Kiya,
Uski Bhi Khush Mizagi K Charchy Hain In Dino,

Ik Khush Gawar Neend Pe Haq Ban Gaya Mera,
Wo Rat Jagay Iss Aankh Ny Kaaty Hain In Dino,

Wo Qeht-e-Husn Hai K Sabhi Khush Jamal Log,
Lagta Hai Koh-Kaaf Pe Rehtay Hain In Dino,
*

miirfan 25.07.10 - 07:16am
Chuhe ko billi lagi gori,dono milne lge chori chori,chuha bola ori aa khele ankh micholi,billi ne chuhe ko khaya,marte marte wo boli I HATE LUV STORY! *

javed286 8.08.10 - 12:56pm
clap.GIF good2.GIF zak bro *

javed286 8.08.10 - 12:59pm
kiski yaad sataye to kya kare?
us se milne ko dil chahe to kya kare?
log kehte hai sapno me hoti hai mulakat,
lekin nind hi na aaye to kya kare????? *

zakkhan 26.08.10 - 08:36am
Ye jo zindgi ki kitaab hai ye kitaab bhi kya kitaab hai
kahiN ik haseen sa khwaab hai kahin jaan lewa azaab hai

kahin chaaOn hai kahin dhoop hai, kahin aur hi koi roop hai
kai chehre isme chupe huye, ik ajeeb sa ye naqaab hai

kahin kho diya kahin paa liya kahin ro liya kahin gaa liya
kahin cheen leti hai har khushi kahin meharbaaN behisaab hai

kahin aaNsoOn ki hai daastaaN kahin muskurahaToN ka bayaaN Hai
kahin barkatoN ki hai baarisheN kahin tishnagi behisaab hai................ *

zakkhan 27.08.10 - 10:29am
patthar sulag rahe the ko_ii naqsh-e-paaa na thaa
ham us taraf chale the jidhar raastaa na thaa

parchhaa_iyo.n ke shahar kii tanhaa_iiyaa.N na puuchh
apanaa shariik-e-Gam ko_ii apane sivaa na thaa

yuu.N dekhatii hai gum_shudaa lamho.n ke mo.D se
is zindagii se jaise ko_ii vaastaa na thaa

cheharo.n pe jam ga_ii thii.n Khayaalo.n kii ulajhane.n
lafzo.n kii justajuu me.n ko_ii bolataa na thaa

Khurshiid kyaa ubhaarate dil kii taho.n se ham
is anjuman me.n ko_ii sahar_aashanaa na thaa *

mr_khan1 27.08.10 - 11:34am
good2.GIF *

javed286 5.09.10 - 09:00pm
aa gayii yaad sham Dhalte hiibujh gayaa dil chiraaGh jalte hiikhul gaye shahr-e-Gham ke darvaazeek zaraa sii havaa ke chalte hiikaun thaa tuu ke phir na dekhaa tujhemiT gayaa Khvaab aaNkh malte hiituu bhii jaise badal saa jaataa haiaks-e-diivaar ke badalte hii... *

javed286 5.09.10 - 09:02pm
aaGhaaz to hotaa hai anjaam nahiiN hota jab merii kahaanii meN vo naam nahiiN hota jab zulf kii kaalikh meN ghul jaaye koii raahi bad-naam sahii lekin gum-naam nahiiN hotaahaNs haNs ke javaaN dil ke ham kyouN na chune TukRehar shaKhs kii qismat meN inaam nahiiN hotaa bahte hue aaNsuu ne aaNkhoN se kahaa tham karjo mae se pighal jaaye vo jaam nahiiN hotaa din Duube haiN yaa Duubii baaraat liye kashtii... *

zakkhan 7.09.10 - 09:21am
supurb
*

zakkhan 7.09.10 - 09:21am
Her eik zakham ka chehra gulaab jaisa hay
Mager yeh jaagta manzer bhi khuwaab jaisa hay

Yeh talakh talakh sa lehja yeh tez tez si baat
Mizaaj e yaar ka alam sharab jaisa hay

Mera sukhan bhi chamun der chamun shafuq ki phuaar
Tera badan bhi mehaktay gulaab jaisa hay

Bara taweel, nehayat haseen, bohot mubhum
Mera sawal tumharay jawab jaisa hay *

zakkhan 7.09.10 - 09:22am
Baaton baaton mian bicharney ka ishara karkey
Khud bhi roya woh buhat ham se kinara karkey

Sochta rehta hoon tanhai main anjam-e-khuloos
Phir usi jurm-e-mohabbat ko dobara karkey

Jagmaga di hain terey shehrer ki galiyan main ne
Apney askhon ko palkon pe sitara karkey

Dekh letey hain chalo hosla apne dil ka
Aur kuch roz tere saath guzara karkey

Aik hi sheher main rehna hai magar milna nahi
Dekhtey hain yeh aziyat bhi gawara karkey...! *

zakkhan 7.09.10 - 09:25am
taskeen na ho jis se woh raaz badal dalo
jo raaz na rakh paye hamraaz badal dalo

tum ne bhi suni ho gi bari aam kahawat hai
anjaam ka ho khatra aaghaz badal dalo

pur soz dilo ko jo, muskan na de paye
sur hi na mile jis se woh saaz badal dalo

dushman ke irado ko hai zahir agar karna
tum khel wohi khaylo andaz badal dalo

ay dost karo himmat kuch door sawera hai
gar chahte ho manzil to parwaz badal dalo *

javed286 7.09.10 - 04:13pm
Koi lamha bhi kabhi laut kar nahee aaya,
Woh shaks aisa gaya phir nazar nahee aaya,
Wafa ke dasht mein raasta nahee mila koi,
Siwayye gard-e-safar humsafar nahee aaya,
Kisi chiraag ne poochi nahee khabbar meri,
Koi bhi phool mere naam per nahee aaya,
Pallat ker aane lagay shaam ke parinday bhi,
Hamara subha ka bhoola magar nahee aaya.......... *

zakkhan 7.09.10 - 08:39pm
Koi Baat Esi Kiya Karo, Koi Lafz Esa Kaha Karo *
Mile Jis Se Dil Ko Qaraar Sa, Koi Shair Esa Parha Karo *

Nahi Dukh Main Es KO Rakha Karo, Kabhie Sukh Bhi Esko Diya Karo *
Ye Udas Hai Kayi Roz Se,Mere Dil Main Aa Ke Raha Karo *

Jo Kahthin Kathin Se Hain Raaste,Ye Sabhi Hain Kyon Mere Waaste *
Ye Jo Jal Rahi Hoon Main Aag Main, Kabhi Tum Bhi Es Main Jala Karo *

Abhi Taq Tumhari He Aas Hai, Mere Dil Ke Ab Bhi Tu Paas Hai *
Hai Ye Dil Tumhare Hisaar Main,Esey Meri Jaan Rehaa Karo *

Mera Din Ho Ya Meri Raat Ho,Faqat Ek TUmhari He Baat Ho *
Abhi Jese Tum Mere Saath Ho,Unhi Mere Sath Raha Karo * *

zakkhan 15.09.10 - 09:00am
KSIS KO IS ME INTEREST HAI TO AAGE AAYE *

javed286 17.09.10 - 01:54pm
clapping.GIF *

mr_khan1 17.09.10 - 02:35pm
Kamal ho gaye kamal ho gaye dhoti ko par k rumal ho gaye *

javed286 18.09.10 - 09:11am
ya rab mere sabr ka yeh kaisa imtehaan hai ,, Na iqraar hai Na inkaar hai ,, Kaun jaane doobeygi ya paar lagegi ,, kashti hai kagaz ki aur ghera hai paani... *

zakkhan 18.09.10 - 01:10pm
Dil maiN teri mahobbat ke vo khayalaat nahiN haiN
Ashqo maiN sab bah gaye koi jazbaat nahi haiN

Rishto ki bheed mai khud se ajnabee huN is kadar
Dosto ko pahchaan saku vo nazar saath nahi haiN

Gham ke meri pith par khanjar aiseN haiN chubeN
Mud kar bhi aah bhar saku vo haalaat nahi haiN

RaatoN ke karvatoN se maraasiim puraane haiN
Tere khwaaboN ke anjuman ki kaynaat nahi haiN

Zikra bhi ho tera kahiN to jhook jaati hai Nigaah
Khamoshi ke siva ab labo par koi baat nahi HaiN

Rona bhi agar chaahu to ro bhi na paaunga maiN
Gham mai habib ashko ki ab vo barsaat nahi haiN *

zakkhan 18.09.10 - 01:12pm
kal hamaisha ki terhaa usnay kaha ye phone per,
main bohat masroof hoon mujhe bohat say kaam hain..

is leye tum aoo milnay main to aa sakti nahi,
her riwayat toor ker is baar main nay keh dia

tum jo ho masroof to main bhi bohat msroof hoon,
tum ager ghamgeem ho to main bhi bohat ranjoor hoon..

tum thakan say choor to main bhi thakan say choor hoon,
jan-e-man hai waqt mera bhi bohat he qeemti..

kuch pouranay doustoon nay milnay aana hai abhi,
main bhi ab farigh nahi mujhko bhi lakhoon kaam hain..

werna kahnay ko to sab lamhay tumharay naam hain,
meri ankhain bhi bohat bojhal hain sona hai mujhay..

ratjago k baad abb neendoon main khoona hai mujhay,
main lahooo apni anaoon ka baha sakta nahi..

tum nahi aa saktin to milnay main bhi aa sakta nahi,
uss ko ye kah ker main nay reciever rakh dia,
orrr phir apni anaa k paoon pay sir rakh dia... *

zakkhan 18.09.10 - 01:20pm
Inteqaman hans raha hoon khoob ronay k liay..
woh qareeb anay lagay hain door honay k liay..
koi manay ya na manay ham ne jaana hai yehi..
dil tarrapnay k liay hai, aankh ronay k liay..
kya qayamat hai maseeha waar kar k chal diya..
or qaatil aa gaya hai zakhm dhonay k liay..
aaj tak yeh bhi na socha kiun huay ham dar-badar..
tujh ko panay k liay ya khud ko khonay k liay..
meri dunya door hi se dekhnay ki cheez thi..
aap na haq aa gaye maghmoom honay k liay.. *

zakkhan 22.09.10 - 08:08am
Iss shehr k logon say waffa mang raha hun

aur soch may dooba hun k kya mang raha hun



yae sab nay saja rakha hai jo apni jabeen par

mai dil pay bhi ik aisa nishan mang rha hun



iss sookhay huaye khait ka jo rang badal day

us rehm ki barish ki dua mang rha hun



pathar ka talabgar hun sheeshay k nagar may

kya mang rha hun mai kahan mang raha hun



tu bandh k zulfon say mujhay dil may bitha lay

mujrim hun tera tujh say saza mang raha hun



pehloo mai teray sir ho mera, mout jab aye

bas itna karam waqt-e-naza mang raha hun



mai kon hun kya hun mai yahan kis liye aya

mai khud say khud apna hi pata mang raha hun



do lafz meray naam bhi likh day kabhi ASIM

mai tujh say waffaon ka sila mang raha hun
*

zakkhan 22.09.10 - 08:09am
Mohabbat jis se ho jaye usay takleef matdena

wo cahay dukh hazaron de usay takleef mat dena


kabhi tum chand se kehna kabhi taron se apna gham

agar woh sun nahin paye usay takleef mat dena


tumhain us shakhs ki galiyun main chahe maut aa jaye

woh milnay se jo katraye usaay takleef mat dena *

zakkhan 22.09.10 - 08:10am
Khuli ankhon say ab tum khwab na dekha karo larki

kuch apnay kal k baray may bhi tum socha karo larki



nhi bardasht kar pao gi mojon ki thapairon ko

na darya ki mukhalif simt may taira karo larki



koi zaalim lehar uthay gi aur is ko mita day gi

na apni dastan tum rait par likha karolarki



nigahen uth rahi hain sab tumharay surkh joray par

hai rutt gham ki tum aisay rang na pehna karo larki



woh kuch mitti k bartan ,chund gurian ,baalian ,jhumkay

abhi aisay khilonon say hi tum khela karo larki



parishani may hun to kaam may bhi dil nhi lagta

yun meray farz k rastay may na aya karo larki



kahin duniya may apna naam na badnaam hojaye

na meray naam k sang naam tum jora karo larki



mujhay kasmon pay wadon pay yakeen ata nhi phir bhi

mujhay tum bhool jao gi abhi wada karo larki



tum us ki baat sunti ho yae ASIM kehta phirta hai

kuch us ki baat ka hi paas tum rakha karo larki


*

6-<< 2-< 1-> 7->>


* Reply
* ALL-IN-ONE Forum


Search:
topics replies


* ALL-IN-ONE

Create Your Own App Store

topTop
groupsGroups
mainProdigits

Custom Search


Create Your Own App Store