WAP Groups
Download Free Apps & Games @ PHONEKY.com

ALL-IN-ONE - Topics
Create Your Own App Store

* ALL-IN-ONE > Topics


Subject: Ishq E Rasool S.a.w.w
Replies: 2 Views: 961

mahero 27.03.14 - 06:13am
Ishq e Rasool s.a.w.w.Bala ghal olaab e kamalehikashafadoh jaab e jamaalehiHasanat jameeo khesaalehiSalloo alehe wa aalehi...Jab mere Aqa s.a.w.w apne kisi ummati pe khas ul khas karam farmate hen. Jab mere Aqa s.a.w.w apne kisi ummati ko apne qareeb krte hen apna qurb ata farmate hen to Usko Ishq e Rasool s.a.w.w ataa farmate hen.Ishq e Rasool s.a.w.w kisi ki jageer nahi ishq e Rasool s.a.w.w Darbar e Nabvi s.a.w.w ki ataa hai.Isk liye zruri nahi aap bohot naik o ibadat guzar hon...Gunahgaron pe bhi mere Aqaa s.a.w.w ka khususi karm hai.Ghazwa e Ohad ka waqeya hai,mere Mustafa kareem s.a.w.w ka dandan mubarik shaheed hua, Hazrat Awais Qarni r.a ne apne sare k sare dant mubarik tor diye.Hazrat Abu bakkar r.a, Hazrat Umar r.a Hazrat Ali karamAllah O wajho ne aesa nahi kiya ...Q k aap sub ka muqaam aur hai, Ap r.a.a k Ishq ka Andaz aur hai.Hazrat Awais Qarni r.a ka muqaam aur hai aap k ishq ka andaz aur hai.Kisi Fiqah ki kitab mein nahi likha hota k aik Ashiq ko apne Ishq ka Izhar kese krna hai, Kisi Hadith ki kitab mein nahi likha k aik Ashiq e Rasool s.a.w.w kis tarha apne Ishq ka izhar kre.Ek sahabi r.a ne haram kaam kiya aur jannat pa li...Ek baar mere Aaqa Kareem s.a.w.w ne elaj ki gharz se kuch khoon mubarik niklwaya, Phr Pyale mein ek Sahabi r.a ko diya k phenk ao.. Sahabi r.a ne woh khoon mubarik p liya..jab wapas kamre me tashreef laye to Rasool Kareem s.a.w.w ne poocha us khoon ka kya kiya , Sahabi r.a ne arz kiya k main p gya, ap s.a.w.w ne farmaya ab jis mein mera khoon shamil hogya hai uspe dozakh ki aag haram hai.Ishq e Rasool s.a.w.w ki Adaaon pe na to Koi Tanqeed hai na iski Taqleed hai aur na koi Fatwah. *

sumaiyakhatun 22.05.14 - 10:52am
ameen *

rody9499 11.10.14 - 08:54pm
excellent (y) *


* Reply
* ALL-IN-ONE Forum


Search:
topics replies


* ALL-IN-ONE

Create Your Own App Store

topTop
groupsGroups
mainProdigits

Custom Search


Create Your Own App Store